ज़रूरी था Zaroori Tha Lyrics in Hindi – Rahat Fateh Ali Khan

Zaroori Tha lyrics in Hindi from the album Back 2 Love sung by Rahat Fateh Ali Khan. This song is written by Khalil-Ur-Rehman Qamar and music composed by Sahir Ali Bagga. Featuring Kushal Tandon, Gauhar Khan & Rahat Fateh Ali Khan.

Zaroori Tha Song Details

📌 Song Title Zaroori Tha
🎞️ Album Back 2 Love (2014)
🎤 Singer Rahat Fateh Ali Khan
✍️ Lyrics Khalil-Ur-Rehman Qamar
🎼 Music Sahir Ali Bagga
🏷️ Music Label Universal Music India Pvt. Ltd.
▶︎ See music video of Zaroori Tha 2 Song on The Folk & Soul Studio YouTube channel for your reference and song details. Zaroori Tha Lyrics

Zaroori Tha Lyrics in Hindi – Khalil-Ur-Rehman Qamar



लफ्ज़ कितने ही तेरे पैरों से लिपटे होंगे
तूने जब आख़िरी खत मेरा जलाया होगा
तूने जब फूल किताबों से निकाले होंगे
देने वाला भी तुझे याद तो आया होगातेरी आँखों के दरिया का
उतरना भी ज़रूरी था
मोहब्बत भी ज़रूरी थी
बिछड़ना भी ज़रूरी था
ज़रूरी था की हम दोनों
तवाफ़े आरज़ू करते
मगर फिर आरज़ूओं का
बिखरना भी ज़रूरी था
तेरी आँखों के दरिया का
उतरना भी ज़रूरी था

बताओ याद है तुमको
वो जब दिल को चुराया था
चुराई चीज़ को तुमने
ख़ुदा का घर बनाया था

वो जब कहते थे
मेरा नाम तुम तस्बीह में पढ़ते हो
मोहब्बत की नमाज़ों को
कज़ा करने से डरते हो
मगर अब याद आता है
वो बातें थी महज़ बातें
कहीं बातों ही बातों में
मुकरना भी ज़रूरी था
तेरी आँखों के दरिया का
उतरना भी ज़रूरी था

वही हैं सूरतें अपनी
वही मैं हूँ, वही तुम हो
मगर खोया हुआ हूँ मैं
मगर तुम भी कहीं गुम हो
मोहब्बत में दग़ा की थी
सो काफ़िर थे सो काफ़िर हैं
मिली हैं मंज़िलें फिर भी
मुसाफिर थे मुसाफिर हैं
तेरे दिल के निकाले हम
कहाँ भटके कहाँ पहुंचे
मगर भटके तो याद आया
भटकना भी ज़रूरी था

मोहब्बत भी ज़रूरी थी
बिछड़ना भी ज़रूरी था
ज़रूरी था की हम दोनों
तवाफ़े आरज़ू करते
मगर फिर आरज़ूओं का
बिखरना भी ज़रूरी था
तेरी आँखों के दरिया का
उतरना भी ज़रूरी था

More Hit Songs by Rahat Fateh Ali Khan:
ज़रूरी था Zaroori Tha 2 (2024)
ओ रे पिया O Re Piya
बोल ना हल्के Bol Na Halke Halke
मेरे रश्के क़मर Mere Rashke Qamar
दगाबाज़ रे Dagabaaz Re
तेरी प्रेम कहानी है Teri Meri Prem Kahani
जग सुना सुना Jag Soona Soona Lage
तेरी ओर Teri Ore
आज दिन चढ़ेया Aaj Din Chadheya
तू न जाने आस पास Tu Na Jaane Aas Paas
आफ़रीं आफ़रीं Afreen Afreen
दिल ज़ाफरां Dil Zaffran
मेरे रश्के क़मर Mere Rashke Qamar – Baadshaho
तु इतनी Tu Itni Khoobsurat Hai
सानु इक पल चैन Sanu Ek Pal Chain
तेरे बिन Tere Bin
अधूरा लफ्ज़ Adhura Lafz
तू मेरी मैं तेरा Tu Meri Main Tera
तेरा दीदार हुआ Tera Deedar Hua
रिश्ते नाते Sab Rishte Naate

Zaroori Tha Lyrics in English

Lafz kitne hi tere pairon se lipte honge
Tune jab aakhiri khat mera jalaya hoga
Tune jab phool, kitabon se nikaale honge
Dene waala bhi tujhe yaad to aaya hoga

Teri aankhon ke dariya ka
Utarna bhi zaroori tha
Mohabbat bhi zaroori thi
Bichadna bhi zaroori tha
Zuroori tha ki
Hum dono tawaaf-e-aarzoo karte
Magar phir aarzu’on ka
Bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka
Utarna bhi zaroori tha

Bataao yaad hai tumko
Wo jab dil ko churaya tha?
Churaai cheez ko tumne
Khuda ka ghar banaya tha
Wo jab kehte the
Mera naam tum tasbih mein padhte ho
Mohabbat ki Namaazo ko
Qara karne se darte ho
Magar ab yaad aata hai
Wo baatein thi, mehaz baatein

Kahin baaton hi baaton mein
Mukarna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka
Utarna bhi zaroori tha

Wahi hai sooratein apni
Wahi main hoon, wahi tum ho
Magar khoya hua hoon main
Magar tum bhi kahin gum ho
Mohabbat mein dagha ki thi
So kaafir the so kaafir hain
Mili hain manzilein phir bhi
Musaafir the, musaafir hain
Tere dil ke nikaale hum
Kahaan bhatke, kahaan pahunche

Magar bhatke to yaad aaya
Bhatakna bhi zaroori tha
Mohabbat bhi zaroori thi
Bichhadna bhi zaroori tha
Zaroori tha ki, hum dono
Tawaaf-e-aarzoo karte
Magar phir aarzu’on ka
Bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka
Utarna bhi zaroori tha

Hinditracks on Whatsapp